Aey Fatima Sughra (Marsia)Efforts: Syed-Rizwan RizviWatan may ahle haram ka jo qafela pohonchaBasheer karta tha sar apna peet kay nauhaMadinay walo nabi ka ujar gaya kunbaFaqat hay mardoon may baqi janabe zainul abaNabi kay roze pay woh sabse pehlay jayain gayWaheen pay hale safar apna woh sunayain gayMadinay walo nay jis dum suni yeh ghum ki khabarBuka o sina zani se bapa hua mehsharAsa sambhalay huay aik bibi peet-ti thi sarNabi kay roze pay jaati thi kehti haey padarAarey qareeb naqoon kay pohonchi jo Fatema SughraTo usne nala o shewan may apna naam sunaAey Fatema Sughra ghar loat gaya beta (x2)Kiya dhondti hay haal pareshan dulariBaba ki teray aayi nahi firqe sawariBhayya Ali Akbar bhi tera aya na pyaariSau bar phuphi ho tay mazloomi pay wariMein deti hoon pursaMay tujko sunati hoon woh sab haal safar kaPardes may kis tarha luta gulshane ZehraSar nange gaya kis tarha bazar may kunbaDarbare sitamgar ka aur qaid ka kissaSun aey meri dukhyaJis waqt hua barchi tokre dile AkbarAankhon may basharat na rahi Shah kay dilbarLaashon ko uthane gaye is hal may SarwarGirte thay har ik laash pay Akbar ki samajh karMilta na tha laashaShabbir nay jab laasha e farzand ko payaKhenchi jo sina sath kaleja nikal aayaMayyat ko jawan betay ki phir jhuk ke uthayaLa kar usay maidan se khaime may litayaEk hashr tha barpaTu dhondti hay jiski har ik goad may dilgirCheh mah ke asgar ki nahi thi koi taqsirMara bine kahil nay tere bhai ko ik teerKhoon muh se ugal kar hua be jaan woh besheerKhali hua jhulaShaadi hui Qasim ki magar ras na aayiEk raat suhagan rahi bewa huwi KubraPamal kiya zalimo nay dulhay ka laashaMaqtal may tane jane Hasan bikhra para thaIn ankhon nay dekhaUf tashnagi bachcho ki jo pate thay nahi chainAati thi sadaey alatash aur kabhi bainJab hadse siva dekha jo atfal ko bechainPani gaya bharne pisare Sayyede kunainMara gaya saqqaKamsim bhi thay pyase bhi thay woh dono dulareLekin jo gaye larte woh darya kay kinareKuch gham nahi jo Aun o Muhammed gaye marePehle hi thay woh bhai kay sadqe may utareBaad jiske haey haey karb o bala may hua mehsharShabbir ki gardan pay chala zulm ka khanjarKhaimay bhi jalaey gaye aur chin gayi chadarNa mehramoon ka majma tha aur ham thay khule sarHar lamha thi eezaBachcho kay gale bazu hamare gaye bandheKuch oont liye itne may aada wahan aayeUn naqoon pay bithlaya na tha jinke kajaveThi gyarah moharram jo chale karbobala seDin raat safar kaKis tarha sunao may safar ka tujhe ehwaalChehre ko chupaye huay thay bibiyo kay baalIs jabr tash shadat say safar ka tha bura haalKuch jism kay hisso say juda ho gayi thi khaalWoh dekhengi betaSab bibiyon kay hath pase pusht bandhe thayMaoon kay bajaey thay pisar maao ko pakreRaftar ki tezi se sambhal paye na bachcheChausat meray masoom gaye naqoon se kuchleYeh taza alam thaDarbar yazide may gaye phir hamay lekarBithlaye the woh kursi nasshi satt sa lakarJakre huay rassi se thay sab aur khule sarPhut jata hay dil karti hu jab yaad woh manzarKya waqt kathin thaDarbar se le jake rakha qaide sitam mayPaya na sukoon wahan bhi wafa huan ghum mayGhut ghut kay Sakina mari zindane sitam mayEk bar qayamat hui phir ehle haram mayLasha bhi na uththaZindan hi may nanhi si qabr aik banayiDafna di khasad zabr wahan banu ki jaayiHum sabko diya zalimon nay hukme rehaayiMar kar bhi rehai na mayassar usay aayiWoh reh gaayi tanhaZindan kay darwazay pay jab aayi amariSar peet kay ye bano e nashaad pukariBar ayi tamannae dili aab teri pyaariUth chalo ghar jate hay aey dard ki maariShaq hota tha seenaMaa dekh rahi peet kay sar apna duhaiThi shor bahut bibiyo kay dil pay judaiLekin hui marqad say Sakina kay judaiPhir Shaam kay zindaan se sare Karbala aayiPhat-ta tha kalejaJab bibiyo ko ganje shaheeda nazar aayaNaqe se qareb bibi nay apnay ko girayaNazroon may tha aashur ka manzar jo samayaBus dekhtay hi muh se kaleja nikal aayaHar lab pay tha nauhaSajjad nay dafna diya jab lashay bahattarAnsoro azizo ka kiya chehlome AsgharAbbas ka Qasim ka chehlome AkbarUs aalame gurbat may kiya chehlome SarwarKuch paas nahi thaSughra nay suni Zainabe muztar se ye rudadChera na raha zabt ka gash ho gaayi nashaadUs waqt anees ehle haram nay jo ki fariyadHosh apnay ganwa baitha wahan jitnay thay aabadSab karte the nalaAey Fatema Sughra ghar loat gaya beta (x2)
Watch the raat din tujhko me yaad sta video before converting or downloading, you can preview it by clicking Watch Video button, Download MP3 button will convert to mp3 and Download MP4 button will convert to mp4; SavefromNets.com allows you to download any videos from the supported website into MP3, MP4, and more format.
Raat Din Tujhko Me Yaad Karti Hu Ho Juda Na Ham Ye Fariyad Karti Hu.mp3
This video and mp3 song of "raat din tujhko main yaad karti hoondulhan wedding status video" was published by ashok music creation on 2009-12-28 19:01:21, with a media duration of 0:30 minutes and played 71608 times.
This video and mp3 song of "raat din tujhko main yaad karti hoon romantic status video" was published by kd entertainment on 2009-12-28 19:01:21, with a media duration of 0:34 minutes and played 56239 times. 2ff7e9595c
Comments